Pages

Qurbaan | Epitome of love, Poem, Video






Qurbaan


Beizati sahi kai bar par aaj badnaam ho gye,
Jaane kyu us bewafa ki khatir qurbaan ho gye..
Jo kahe tu par dard tujhe bhi hai,
Tere dard ka ehsaas muje bhi hai..
Judai ka nahi teri tanhai ka ghum hai,
Nahin sath koi tere jab aankhe teri nam hai..
Aaj musqurane se kyu sharmae tere adhar hain,
Khair hume teri khamoshi ki bhi kadr hai..
Is tees me bhi zuba par duae hain,
Jaane kyu hum aaj is mod par aaye hain..
Bahaane de kuchh ashk tere zakhmo par,
Rehem kar tere in ladkhadate kadmo par..
Maana tere humrahi to hai kai,
Par tera koi hmsafar nahi..
Is bheed me bhi tu ruswa hai kahin,
Ab na jao kahin,bus ruk jao yahin..
Kyuki naam to tera sab lia karte hain,
Par teri ibadat sirf hum kia karte hain..
Har zarre me teri aahat suna karte hain,
Hawao se teri siskiya chuna karte hain..
Waise to hum bahut darte hain,
Par aaj is bhari mehfil me ikraar karte hain,
Ki khud se zyada hum aap par aetbaar karte hain,
Kabhi nazre milakr, kabhi nazar churakr apka deedar karte hain,
Kadwa bole chaahe jitna par jaan bhi nisaar karte hain,
Jaante hain humse behtar,apse hum kitna pyaar karte hain...




Its LOVE LOVE LOVE all around. This is 'The Post' for the Valentine's Day. I told you, its gonna be special. Something that got me really emotional while writing. Sometimes as a writer you feel "God!! What have I written!!" but as a matter of fact, I ain't that capable it felt like some natural Force is whispering those in my ear..and I am just putting those to paper. The only thought in my mind after reading it was, "If love exists...is it this DEEP"

Tell me what you think.....:)

Share this: