Pages

Kabhi to Saath Chalo



Life is a race. Every moment is a contest, everyday is a competition. We are a part of this mad race. Even if we try to we can't grow at our pace. They say time can heal every wound. I say time gives you wounds that cannot be healed. Feeling the pain, time gives us every moment there is an urge to flow and glide rather than gush and rush. I ask the might of time to walk alongside.



Note: The post given underneath is in Hindi. To view English version click Walk Along with me


Kabhi to Saath Chalo

Raftaar-e-zindgi kam nahi hoti,
Jung-e-zindgi khatm nahi hoti..
Daudna hai waqt se tez,
Raza poori nahi hoti..

Kaandhe zimmedario se jhuke hai,
Hausalo se tane hain..
Kadm thakaan me dafn hai,
Josh me badte rahe hain..

Mauka nahi naino ko nidra ka,
khuli aankho se khwab dekhna hai..
Mauka nahi jism ko madira ka,
nirantar aage badna hai..

Sagar kinaare dunia baithti hai,
mujhe ufanti lehero pe daudna hai..
Zameen par bahut bheed hai,
Mujhe aasmaano me udna hai..

Khush hu agar tuje ye manzoor hai,
varna pakka mera fitoor hai..
Rukna meri fitrat nahi,
Aaraam meri kismat nahi..

Fir bhi ek iltejah kubool kar sake to kar le,
mere dard ko mehsoos kar sake to kar le..
Shayad is daud me kuchh pichhe chhoot gya,
mai mai na raha har rishta jaise toot gya..

Khwaabo k ishq me neend bhool gya,
lambi udaano me zameen ko bhool gya..

Meri galti nahi,
waqt ka veg hi kuchh aisa hai..
Har koi behta chala jaata hai..
Ek baar jo behne lage,koi kinaara nahi milta,
ek baar jo doobne lage,koi sahaara nahi milta..

Tere nakhsekadm pe daudte rahe,
teri bisaat par pal pal zindgi khote rahe..
Aye waqt kabhi to chal saath mere,
Manzilo ki nahi raasto ki chaah hai..
Udaano ki nahi hawao ki chaah hai,
daudne ki nahi aaj baithne ki chaah hai..

Rukna teri fitrat nahi,
Tujhe rok saku meri haisiyat nahi..
Tere sath daudne ki aaj chahat nahi,
Mai ruk saku aisi kismat nahi..

Kar sake to ye ehsaan mujhpar kar de,
Do pal ki zindgi mere naam kar de..
Humne bahut sitam sahe hai tere,
Aye waqt kabhi to chal saath mere..

Aaj ye iltejah hai,
kal shayad na rahe..
Kal is shareer me,
shaayad dil hi na rahe..

Ek marti aatma ki antim khwahish poori kar de,
do pal is gareeb ke naam kar de..
Bahut daude hain hum saath tere,
Aye waqt kabhi to chal saath mere..

Khud ki nahi fikr,na kadr,
Do pal to jeena hai..
Bus aaj hai khwahish ka zikr,
Kal fir zeher peena hai..

Khuli aankho se khwaab dekhunga,
Tujhse tez daudunga..
Teri bisaat par har baazi jeetunga,
Par shayad ek insan kho dunga..

Aye waqt kabhi to chal saath mere....
Aye waqt kabhi to chal saath mere....

Share this: